Betha karta tha mein un darakhton kay saye talay jismay tmhara aks har soo numaya tha.
Tmhari saans ne jis hawa mein ehsas e jannat bhar dala tha.
Tumhari nazar jaise sooraj ki kirnien badal cheerti thin.
Tumhari muskurahat jaise farishtay hastay thay
Tmhari khushi jo manzoor e khuda thi, tum hasil e awwal thay, mera ishq la zawal tha.
Mujhay tou choro, ab tou woh parbat bhi kaanp uthay hain, jaron se ukhar gaye woh parbat, mein tou phir insan tha.
Bech dou mujhko un honton ki mustkurahat, anmol daam lelo.
Aik dafa, bas aik dafa woh nigaah wapis ata kardo, bas aik dafa woh ishq dubara numaya kardo, ziada nahi mangunga, lekin itna suno, meri maan kay pairon talay zameen nahi, tumnay jannat ko bhi hila diya tha,
Jeena sikha diya tha, lekin tumnay mujhay maar diya hai. -
Comments
Post a Comment