Kabhi dil karta hai kehdun ........ Mujhay nahi pata tha, farishton kay roop mein, Mere naseeb mein qayamat aye thi. .



Kabhi dil karta hai kehdun woh har baat tumhay jo kehni chahi hai, aur nahi kahi. 
Kabhi dil karta hai, phir dekhun tmhari un gehri ankhon mein, aur sama joun wahan, hamesha hamesha kay liye. 
Kabhi dil karta hai, tumhay yaad karun, aur kabhi tum bhi mujhay yaad karo. 
Kaash woh subh dubara aye, kaash woh sooraj dubara buland hojaye, kaash chand aik dafa phir mujhay tmhara rasta dikhaye. 
Kaash mein dubara tootun, or kaash tum mujhay dubara joro. Mein phir aik dafa tootna chahta hun, aur tumharay hathon mein jurna chahta hun. 
Jaise jura tha us wakt, us raat, jab ham milay thay. 
Kahan kho gaye woh rastay, kahan bhatak gayi hamari manzil, wada karkay, kyun nibha na sakay tum. 
Dil mein sama kay, kyun ankhon mein sama na sakay tum. 
Pyar sikha kay, kyun pyar na karsakay tum. 
Zindon mein mar kay, kyun dafna na sakay tum. 
Kabhi tou phir say baarish barsay gi, aur badal garjeingay, anjan tum phir us raat, kiski baahon mein simtogay. 
Phir kisko, raaton ki us baarish mein bahar bhejogay, aur wapas bulaogay? 
Kya tum, mujhay bhool paogay? Kyun kay mein nahi bhool pounga. Woh raat, jab woh badal garjay aur tumnay mujhay bahar bheja tha, aur tum andar kharay muskarai thi. 
Mujhay nahi pata tha, farishton kay roop mein, 
Mere naseeb mein qayamat aye thi. .

Comments

Popular posts from this blog

heart full of love, your heart full of lies