Raatien tham se gayi hain, 
Jaisay hawaen tham jati hai barsaat kay bad. 
Dil toot sa gaya hai, 
Jaisay zameen toot se jaati hai bijli girnay ka bad. 
Lab khamosh se hogaye hain, 
Jaisay ruk gayi ho dharkan mere dil mein. 
Ankhien nam hain, 
Log poochtay hain, aisay bhi kya gham hain. 
Mera hasnay ko dil nahi karta, 
Tum mere labon pe bastay hou. 
Mein aksar larkhara jata hun, 
Gir jata hun, aur tmhay dhoondta hun lekin ab tum hath nahi barhatay, 
Ab tum galay nahi lagatay, ab tum ankh nahi milatay. 
Mein kufr karta hun, tou mera khuda naraz. 
Mein mohabbat karta hun, tou tu naraz. 
Mein namaz parhta hun, tou dua mein tera nam. 
Mein tere hath ki lakeerien parta hun, tou mera naam hi nahi hai. 
Mein ro parta hun, tou mere sar ko teri yaad. 
Mein hasta hun, tou honton pe phir teray charchay hotay hain, 
Phir tu mujhay yaad ati hai, phir mein yaadon kay samandar mein doob jata hun, 
Phir sar utha kar tera sahara dhoondta hun, 
Hath barhata hun, tu ab mera hath nahi thaamti, 
Aur mein, har raat, 
Isi yaad kay darya mein doob kar marjata hun.

Comments

Popular posts from this blog

heart full of love, your heart full of lies