Khuahishien bekaaboo hai, shauk e jannat mujhay ab na raha



Khuahishien bekaaboo hai, shauk e jannat mujhay ab na raha.
Bech diya meinay jisam, keemat ka andaza mujhay ab na raha.
Tere aanchal mein meinay apna daaman dhaank diya, tere saye talay mein sooraj ko shikasta kiya. 
Tere ankhon mein meri dunya basti hai, kyun kehtay hain yeh kay tu aik hawas ki masti hai. 
Tere hathon ki lakeeron mein mera na naam hai na nishaan, 
Mere hath utha kar dekh, duaoun mein aaj bhi zinda hai tu. 
Mein kaise samjhoun meinay kis say mohabbat ki hai, bohot saada hai tu, yeh samjhtay hain tujhay ruswai kay ilawa koi shauk nahi. 
Rehti hai tu mere dil mein, jaise farishton ki ankhon mein noor rehta hai. 
Lekin, tere hathon ki lakeeron mein mera na naam hai na nishaan,
Mere hath utha kar dekh, duaoun mein aaj bhi zinda hai tu. 
Tou kya howa, gham-e-dunya mein chor gayi tu mujhay, tou kya howa toonay dil ko sheesha samajh kar tordiya, 
Tou kya howa tunay mujhsay mohabbat nahi ki, 
Tou kya howa ham aik nahi hosakay, 
Tou kya howa hamari maala ki dor toot gayi, tou kya howa ham motion ki tarha bikhar gaye, 
Tere hathon ki lakeeron mein na mera naam hai na nishaan, 
Lekin, tujhay kho kar hi tou hasil kiya hai meinay tujhay, 
Mere hath utha kar tou dekh, duaoun mein aaj bhi zinda hai tu.

Comments

Popular posts from this blog

heart full of love, your heart full of lies