Teri heran ankhon par jab mujhko pyar ata tha,
Mera dil jaise barish mein jungle dhul jata tha,
Teri galiyon mein charchay ham lagatay thay,
Palkon talay chupi teri khoobsurat ankhon mein jab ham doob jatay thay,
Ankhien khulti thin teri tou ham jaise aik khoobsurat nazara dekhtay thay,
Jitna pyar tha dou jahanon mein, teri ankhon mein ham sara dekhtay thay,
Fiza mein jaise rang baras jatay thay,
Ham hi thay jo hasil karkay tujhay, phir bhi sukoon na paatay thay,
Yeh dil hi tha jo behal sa gaya tha,
Tmhay chaltay dekh kar jhuki nigahien hamari gunahgaar hojati thin,
Tmhara aik aansu kya girta tha ham saw baha daaltay thay,
Tmhari khushi mein ham farishton ko muskurata dekhtay thay,
Dekha nahi hamnay doosra tum sa koi, na kabhi dekhna chaaha hai,
Ham gunahgaar hain tou kya howa, tum saza bhi tou kam na kartay thay,
Jab andhi ati thi, toofan sar chartay thay, aur pattay hiltay thay,
Ham har kinaaray mein tmhay hathon mein hath dalay hasta dekhtay thay,
Yeh wakt hi tha jo badal gaya,
Yeh toofan hi thay jo tham gaye,
Warna tmhari nigaah tou jaise dil rok deti thi, aur aglay hi lamhay chala deti thi,
Jis dil mein ghar hamnay banaya tha,
Jis dil mein ham jalay thay,
Jin ankhon ne hamse mohabbat ki thi,
Dekhtay hi dekhtay ghairon par dal gayi,
Ham tou phir raakh ki maanind thay, sameta tha tumnay dubara hamein, lekin is dafa khara nahi kara tha,
Iss dafa tmnay hawa mein phook mar kar hamien ura diya tha,
Jeetay hi jeetay, tumnay hamein maar diya tha.
Comments
Post a Comment