Wo jiski mohabbat ko ham taras uthay. 
Woh jiskay liye asmaan toot pare,
Woh jiskay liye baadal garaj uthay, 
Woh jiskay liye bijlian kharak gaen, 
Woh jiskay liye ham dunya bhool bethay, 
Woh jisko sari kainaat mein hamnay chuna, 
Woh jisnay sari kainaat chuni aur hamein na gina, 
Woh jiska har girta aansu hamnay thama,
Woh jisnay hamara hath bharay baazar mein chora, 
Woh jisko hamnay jeena sikhaya, 
Woh jisnay hamse jeenay ki justuju cheen li,
Woh jisko sajda karnay pe eeman mit para, 
Woh jisnay hamein thukra diya, 
Woh jiskay liye dua nikli, 
Tum hamesha khush raho,
Tum hamesha yun hi hasti raho, 
Tum hamesha yun hi dil jeet-ti raho, 
Lekin aye mulzim, aye kaatil, yeh dil hi nahi, jahan tora jaisay tumnay hamara, 
Khudara koi aisay tmhara naa toray, 
Jatay hou jao, lekin dua tou letay jao.

Comments

Popular posts from this blog

heart full of love, your heart full of lies